Jaan hi lijiye tv pe achanak aane waale numbers ka sach|Truth behind random numbers generated on Tv|

Tv par random no.ka sach
Kya kabhi socha hai ki aapki tv screen par achanak aisa numbers kyu dikhaayi deta hai.or ye kuch second ke liye aapki tv screen par hota hai or samaya samya par dikhaayi deta hai .
Darasal ye numbers channels waale khud hi generate karte hai jo sabke liye alag laga hota hai.
Matlab agar aap or aap ka friend dono ek hi channel ek hi samya par dekhte hai to dono ko alag alag numbers dekhaayi denge .
Ye number har jagah or har tv ke liye alag alag hote hai. Aisa channel companiya duara hota taki agar koi mobile se ya camere se record kakar unke channel ka show kahi kisi youtube ya online platform par na dikha paye. agar wo aisa karta hai to ye achanak aane waale numbers bhi video mein copy ho jaate hai jisse ki live videos ya show dikhaane waalo ko pakda ja sake or piracy ko khtam kiya ja sake.
Phele jab cable tv hua karte the to koi bhi taar mein cut laga ke connection chura leta tha jisse TRP calculation mein mushkil hoti thi or channel walo ka nuksaan hota tha kyu ki unhe lagta tha ki unka channel bahut logo duara dekha ja raha hai par connections to itne hai hi nhi .
Koi bhi movie ya shows dikhana wali production company ko channel ko kuch amount dena padta tha or har company yehi chhati thi ki zada se zada log unke show ko dekhe issiliye wah high TRP wale channel ko chunte the par high TRP to galat calculate hoti thi toh unka nuksaan hota tha .
Issiliye sarkar ne cable tv ke bajaye set top box ko compulsory karna shuru kiya taki kisi bhi tarah ki piracy ko roka ja sake  or channel ke shows ko illegally kisi media platforms par na dikhaya jaaye isiliye wo number randomly generate hota hai, jo tv channel ke algorithm duara hi hota hai .Is number ki help se aisa karne waale ko pakda ja sakta hai or usse legally charge bhi kiya ja sakta hai .

Post a Comment

0 Comments