Karwan movie review|box office review

Khud ko talashnne ka safar
Filmy review.     
Karwa
Director:akarsh khurana
Actors/actress:irfan khan,dulkar salman,
Mithila lalkar.
Time: two hours
Karwan box office
Karwan scenes

“मैं अकेला ही चला था जानिबे -मंजिल मगर लोग आते गए और कारवां बनता गया” majoorah sultaanpuri ki yeh line film mein shaukat(irfan) ke kirdaar ki van ke bahar likhi gayi hai. Darasal,yeh line ne aakarsh khurana nirdeshak ‘karwan’ ki aur ishara karti hai. Film ko ek road trip ke roop mein dikhaya gaya hai.halanki ye film road trip ke alawa jazbaat,peedi mein sooch ka antar, rishton mein khataas ,dabi ichhayaon or adhunik sooch ke kayi pehlu ko darshati hai.
Bangluru mein kaam karne wala software engineer avinash(dil kar salman) IT Company mein kaam karta hai.naukari meim uska dil nhi lagta.usse photography ka shok hai.pita ke dawaab mein akar vah naukari majboori mein karta hai.pita putr ke sambandh samaanaye nhi hai .Achanak pita ki ,sadak durghatna mein maut ho jaati hai. Transport company se shav ki adla badli ho jaati ha.avinash ke pita ka shav Kochi pahunch jaata hai.vah usse lene ke liye van se Kochi ravana hota hai.yah van uske dost shaukat ki hoti hai. Vah uske safar mein hamsafar banta hai.beech raste mein uske saat tanya(mithila palkar) bhi jud jaati hai.darasal jis shav se uske pita ka shav badal gaya tha vah tanya ki naani ka hota.Avinash use tanya ki maa ke paas pahunchane nikalta hai aur beech raaste mein vah tanya ko apne saat le leta hai. Dakshin bharat ke kai shaharo se guzarte huye teeno ka karwaan aage badta gaya


Is safar mein ek doosre ko jaanene aur khud ko khojne ki talash bhi hoti hai.issi beech teeno ki zindagi ki jatiltaayen samne aati hai.film Madhya vargi parivaar ke bhavishaye ko lekar chinta aur naukari par nirbharta ke mudde ko bhi chhuti hai.film ki kahani bijnoy nambiyar ne likhi hai, jabki screenplay aakarsh khurana ne likha hai. Irfan ki maujoodagi film ko rochak aur damdaar banati hai.irfan isase pehle bhi road trip adhaarit ‘road to ladhhak',”peku”,aur ‘ kareeb kareeb single ‘ filme kar chuke hai.’karwan’ mein irfan apni panch line ,apni acting aur apne expression se prabhavit karte hai.kai jagah movie mein unki maujoodagi hotho par muskaan le aati hai.film mein do videshiyon ke saat  unka vartalap, aspataal mein burkhe waali mahila ko shero-shayari sunane ka drishaya, ko unhone yaadgaar banaya .Halanki unke kirdaar ki back story mein lekhak -nirdheshak zyda nhi utre ye ajeeb lagta hai.Malyalam filmo ke superstars mamooli ke bete dulkar salman ki yeh pahle film hai. Dulkar salman malyalam filmo ke superstar reh chuke hai.vah filmo mein aane se pahle  corporate world mein kaam kar chuke hai. Avinaashi ka kirdaar film “three idiots” mein R.madhavan ke kirdaar farahan qureshi ki yaad taaza karta hai.qureshi ki ruchi photography mein hoti hai.pariwarwalon ke dawaaab mein usse engineer ki padai karni padti hai.

Do peediyon ki sooch waha takarati hai. karwan’ mein bhi ek generation ka doosre generation se antar ka farak dikhta hai.writer ne avinaash aur tanya ke beech bhi adhunik aur paaramparik sooch ke takarav ko taarkik bahas ke zariye uthana ka prayas kiya hai.halanki unke tark isthaai reh Gaye hai.keral pahunchne par hone waali bhashaayi dikkaton ke drishya mein dulkar salman ki acting kafi sarahaniye hai.film mein shahenaayi bajane ka drishya kafi emotional hai.
Web series sensation mithila palkar ki lead role mein yeh pahli film hai. Tanya ki masumiyat ,uski aadhunik sooch ko ubharne mein yaha.wah safal rahi .Film meim krti kharbanda ka cameo hai. Apni sanchipt bhoomika mein vah yaad rah jaati hai.
Director aakarsh khurana ki yah doosri film hai .Isse phele vah “highjack” ko direct kar chuke hai. Karwan mein pita putr ke sambandh ko explore karne ki kafi gunjaish thi.usmein lekhak-nirdheshak asafal rahe. Irfan ka kirdaar satehi taur par likha gaya hai . Shaukat ka romantic angle mahej comedy nhi balki vah ek gahan mudda tha.uski vajaho mein jaane se lekhak parhaij karte dikhe.bhasha ke mudde ko  bhi satahi taur par chhune ka pryaas kiya gaya. Halanki cinematographer avinash arun ne keral ke prakritik aur naisargik khoobsoorti ko bhi camere main bakhoobi kaid kiya gaya hai.

Follow us
Instagram
Facebook
Twitter
Google plus

This artical include these tags

karwaan movie review/karwaan movie/karwaan movie review/karwaan movie cast
/karwan movie trailer/karwaan movie near me/karwaan movie online/karwan movie release date/karwaan movie wikikarwan movie actorskarwaan movie budget/karwaan movie box office collection/karwan bollywood movie/karwaan movie director/karwaan movie dialogue/karwaan movie details
karwaan movie irrfan khan/karwaan movie/poster/karwaan movie promotion/karwaan/movie star cast/karwan movie wiki

Post a Comment

1 Comments